'bedil' kā taḳhayyul huuñ na ġhālib kī navā huuñ
is qāfila-e-rafta kā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ
raqsāñ hai charāġhān-e-tamannā mire harsū
vo raushaniyāñ haiñ ki maiñ saa.e se judā huuñ
jab dasht-e-alam se koī jhoñkā kabhī aayā
maiñ lāla-e-ḳhud-rav kī tarah aur khilā huuñ
zulmāt-amāñ bhī huuñ ujāloñ kā amiiñ bhī
maiñ sub.h ke taare kī tarah Duub rahā huuñ
aflāk-rasī se bhī talāfī nahīñ hotī
kis azm kī an-dekhī chaTānoñ se girā huuñ
har aks-e-muqābil se numāyāñ hai mirā naqsh
duniyā meñ huuñ yā ā.ina-ḳhāne meñ khaḌā huuñ
mahdūd hai kyuuñ hadd-e-talab tak mirī parvāz
maiñ mauj-e-sabā ho ke bhī zanjīr-ba-pā huuñ
idrāk ke sho.aloñ kā chaman hai mirā āhañg
maiñ barg-e-ḳhizāñ ho ke bhī gulzār-numā huuñ
ehsās ke ġhunchoñ kī chaTak hai mirī āvāz
maiñ sīna-e-āfāq meñ dhaḌkan kī sadā huuñ
har chand ki nas nas meñ nihāñ barq-e-tapāñ hai
khul kar bhī barastā huuñ ki ghanghor ghaTā huuñ
ek ek kiran meñ tire sau rañg nazar aa.e
jab pichhle pahar chāñd ke hamrāh chalā huuñ
ik naġhma-e-rañgīñ huuñ lab-e-sāz-e-mizha par
'sādiq' jaras-e-ġhuncha huuñ tasvīr-e-sadā huuñ