har shaḳhs ko aise dekhtā huuñ
jaise kahīñ duur jā rahā huuñ
dekhī hī nahīñ ḳhizāñ kī sūrat
kis gulshan-e-shauq kī havā huuñ
ḳhud apnī nigāh se huuñ rū-posh
aa.ina huuñ jahāñ-numā huuñ
be-nūr huī haiñ jab se āñkheñ
aa.ine talāsh kar rahā huuñ
nā-qadr-shanās jauharī ko
rāhoñ meñ paḌā huā milā huuñ
jab raat kī zulf bhīgtī hai
sannāTe kī tarah gūñjtā huuñ
is daur-e-ḳhizāñ-nasīb meñ bhī
kaliyāñ sī khilā khilā gayā huuñ
āñkhoñ meñ vahshateñ rachī haiñ
ḳhvāboñ meñ bhī ḳhaak chhāntā huuñ
hai chehra jo daaġh daaġh apnā
har aa.ine se ḳhafā ḳhafā huuñ
talvār pe raqs kā natīja
jab paañv kaTe to sochtā huuñ
parda-e-sabā na ḳhauf-e-sarsar
ḳhākistar-e-yās par khilā huuñ