is ehtimām se parvāne peshtar na jale
tavāf-e-sham.a kareñ aur kisī ke par na jale
havā hī aisī chalī hai har ek sochtā hai
tamām shahr jale ek merā ghar na jale
hameñ ye dukh ki numūd-e-sahar na dekh sake
sahar ko ham se shikāyat ki tā-sahar na jale
charāġh-e-shahr nahīñ ham charāġh-e-sahrā haiñ
kise ḳhabar ki jale aur kise ḳhabar na jale
tirī dalīl bajā par ye kaise maanā jaa.e
shajar ko aag lage aur koī samar na jale
shu.ūr-e-qurb kī ye bhī hai ik ajab manzil
ham us ko ġhair kī mahfil meñ dekh kar na jale
ye shaam marg-e-tamannā kī shaam hai 'sādiq'
koī charāġh kisī tāq-e-chashm par na jale