Sadique Naseem

wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah

Sadique Naseem

Taxila, Punjab, Pakistan

1924
vo jis kā rañg salonā hai bādaloñ kī tarah
girā thā merī nigāhoñ pe bijliyoñ kī tarah
vo rū-ba-rū ho to shāyad nigāh bhī na uThe
jo merī aañkh meñ rahtā hai ratjagoñ kī tarah
charāġh-e-māh ke bujhne pe ye huā mahsūs
nikhar ga.ī mirī shab tere gesuoñ kī tarah
vo āñdhiyāñ haiñ ki dil par tumhārī yādoñ ke
nishāñ bhī miT ga.e sahrā ke rāstoñ kī tarah
mirī nigāh kā andāz aur hai varna
tumhārī bazm meñ huuñ maiñ bhī dūsroñ kī tarah
qarīb aa.e to gum-karda-rah dikhā.ī diye
jo duur se nazar aate the manziloñ kī tarah
har ik nazar kī rasā.ī nahīñ ki dekh sake
hujūm-e-rañg hai ḳhāroñ meñ bhī guloñ kī tarah
na jaane kaise safar kī hai aarzū dil meñ
maiñ apne ghar meñ paḌā huuñ musāfiroñ kī tarah
maiñ dasht-e-dard huuñ yādoñ kī nik.hatoñ kā amiiñ
havā thame to mahaktā huuñ gulshanoñ kī tarah
damak rahā hai jabīn-e-davām par farhād
sharār-e-tesha farozāñ hai mash.aloñ kī tarah
usī kī dhun meñ chaTTānoñ se sar ko Takrāyā
vo ik ḳhayāl ki nāzuk thā ā.inoñ kī tarah
Top Urdushayar.com