yahī nahīñ ki faqat tirī justujū bhī maiñ
ḳhud apne aap ko paane kī aarzū bhī maiñ
udaas udaas sar-e-sāġhar-o-subū bhī maiñ
yam-e-nashāt kī ik mauj-e-tund-ḳhū bhī maiñ
mujhī meñ gum haiñ ka.ī tīrgī ba-kaf rāteñ
ziyā-farosh sar-e-tāq-e-ārzū bhī maiñ
mujhī se qā.em-o-dā.em haiñ ghar ke sannāTe
tumhārī bazm-e-tamannā kī hāv-hū bhī maiñ
nihāñ mujhī meñ hai qātil bhī aur masīhā bhī
ki chāk-e-zaḳhm bhī maiñ sozan-e-rafū bhī maiñ
ḳhud apne aap meñ jhāñkūñ to maiñ bhī maiñ na rahūñ
nigāh ḳhud se haTā.ūñ to chār-sū bhī maiñ
jo raah chalte mirī samt aañkh bhī na uThā.e
usī kī bazm kā mauzū-e-guftugū bhī maiñ
tumhārī bazm se uThne kā bhī ḳhayāl mujhe
zarā sī der Thaharne kā hīla-jū bhī maiñ
tilism-e-dūrī-o-qurbat ko toḌ kar 'sādiq'
pukārtā hai koī aa.ine se tū bhī maiñ