Abdurrahman Wasif

mez qalam qirtas daricha sannaTa

Abdurrahman Wasif

Kahuta, Punjab, Pakistan

1980
mez qalam qirtās darīcha sannāTā
kamrā khiḌkī zard ujālā sannāTā
merī āñkhoñ meñ dhundlā.ī gahrī chup
aur chehre par utrā piilā sannāTā
merī āñkhoñ meñ likkhī tahrīr paḌho
hijr tamannā vahshat sahrā sannāTā
guuñj uThī hai mere andar ḳhāmoshī
nas nas meñ ghuT ghuT kar bahtā sannāTā
us ke saath chalī aatī thiiñ qilqāreñ
us ke ba.ad huā hai kitnā sannāTā
pahle merī zaat meñ thā maujūd koī
ab hai merī zaat kā hissa sannāTā
jhaag uḌāte dariyā ke hañgāme par
naqsh huā dil par afsurda sannāTā
maiñ ne ghanToñ is ummīd pe chup sādhī
shāyad ki vo toḌ hī degā sannāTā
mil kar bain kareñ sab merī hijrat par
chāñd udāsī jhiil kinārā sannāTā
Top Urdushayar.com