fareb-e-zār mohabbat-nagar khulā huā hai
tumhāre ḳhvāb kā mujh pe asar khulā huā hai
maiñ uḌ rahā huuñ falak tā falak ḳhumār meñ yuuñ
ki mujh pe ek jahān-e-digar khulā huā hai
ajiib sāda-dilī hai mirī tabī.at meñ
chalā safar pe huuñ raḳht-e-safar khulā huā hai
maiñ jāntā huuñ ki kyā hai ye āgahī kā azaab
jo harf harf mirī zaat par khulā huā hai
kahāñ khulī haiñ abhī us kī hairateñ mujh par
jo ik jahān varā-e-nazar khulā huā hai
ik intizār meñ qaa.em hai is charāġh kī lau
ik ehtimām meñ kamre kā dar khulā huā hai