gumān toḌ chukā maiñ magar nahīñ koī hai
sarā-e-fikr meñ baiThā huā kahīñ koī hai
mire ḳhayāl ko detā hai nau-ba-nau chehre
hai aas paas koī lams-e-marmarīñ koī hai
mirā yaqīn ki duniyā meñ huuñ akelā maiñ
sadā-e-dil mujhe kahtī hai ġham-nashīñ koī hai
tirī tabāhī meñ shāmil nahīñ hai ġhair koī
use talāsh to kar mār-e-āstīñ koī hai
nigāh se nahīñ jaatā koī ḳhayāl-numā
havās-o-hosh-o-ḳhirad ke bahut qarīñ koī hai
mirā tumhārā ta.alluq bigaḌ ke ban gayā hai
mire tumhāre ḳhayālāt kā amiiñ koī hai
varā-e-zehn-o-zamāñ kis ne kā.enāt bunī
tū kaise kahtā hai koī nahīñ nahīñ koī hai