jahān-e-fikr pe chamkegā jab sitāra mirā
hunar zamāne pe tab hogā āshkārā mirā
abhī se mat mire kirdār ko marā huā jaan
tire fasāne meñ zikr aa.egā dobārā mirā
tujhe darāhim-o-dīnār kī shahī zebā
maiñ mutma.in huuñ ki lafzoñ pe hai ijārā mirā
ye ishtiyāq mirī dastaras vahāñ tak ho
ye intizār vo kis vaqt hogā saarā mirā
rumūz-e-ishq se kab hogī āshnā.ī tirī
mire nadīm tū samjhegā kab ishārā mirā
zamīn-e-qibla-e-avval tujhe ḳhudā rakhe
ki dil huā hai tire ġham meñ paarā paarā mirā