Abdurrahman Wasif

agar tum rok do izhaar-e-lachaari karunga

Abdurrahman Wasif

Kahuta, Punjab, Pakistan

1980
agar tum rok do iz.hār-e-lāchārī karūñgā
jo kahnī hai magar vo baat maiñ saarī karūñgā
mirā dil bhar gayā bastī kī raunaq se sau ab maiñ
kisī jalte hue sahrā kī tayyārī karūñgā
sar-e-rāh tamannā ḳhaak Dālūñgā maiñ sar meñ
jo aañsū bujh ga.e un kī azā-dārī karūñgā
mujhe ab aa ga.e haiñ nafratoñ ke biij bone
so merā haq ye bantā hai ki sardārī karūñgā
maiñ le ā.ūñgā maidāñ meñ sabhī lafzoñ ke lashkar
aur un se lauh-e-fikr-o-fan pe purkārī karūñgā
ka.ī ġham aa ga.e haiñ haal merā pūchhne ko
maiñ ab is haal meñ kis kis kī dildārī karūñgā
Top Urdushayar.com