na dil dimāġh kā is meñ qusūr hotā hai
kisī se ek nazar kā fitūr hotā hai
rivāyateñ bhī ajab haiñ baḌī mohabbat kī
jo dil ke paas ho āñkhoñ se duur hotā hai
koī bhī shakl yuuñ hotī nahīñ hai nūrānī
tape jo aag meñ us par bhī nuur hotā hai
kuchh ek chiiz kahīñ aa to jaa.e haiñ lekin
ruke vahī haiñ jahāñ par shu.ūr hotā hai
ye rab hī jaane ki vo ishq kis ko kis se kab
par ek baar to sab ko zarūr hotā hai
kuchh ek ghūñT lagā raat milne jā.ūñgā
sunā hai shab ko nashe meñ vo chuur hotā hai
usūl-e-ishq kī takrār kā hai jis ko bhī
ziyāda pyaar usī kā qusūr hotā hai