agar nāchūñ nahīñ to paañv mere ruuTh jaate haiñ
agar nāchūñ zarā khul ke to ghuñghrū TuuT jaate haiñ
zamāne kī adā.eñ dekh kar ye sochtā huuñ maiñ
vahāñ sach kyuuñ nahīñ jaate jahāñ tak chhūT jaate haiñ
jo mujh ko saath rakhnā hai zarā dhīre se tum chalnā
chalūñ maiñ tez to paañv ke chhāle phuuT jaate haiñ
kahāñ ruknā kahāñ chalnā zarūrī hai samajh varna
jinheñ paane ko ham dauḌeñ vo pīchhe chhūT jaate haiñ
vo mere dil kī sab bāteñ mujhī se jaan lete haiñ
hai un ke dil meñ kyā jab pūchhtā huuñ ruuTh jaate haiñ
bhale hī ḳhvāb kuchh dekho magar ye dhyān bhī rakhnā
haqīqat se agar hoñ duur sapne TuuT jaate haiñ