Abdul Salam

dil ki haalat bayan nahin hoti

Abdul Salam

Bengaluru, India

1953
dil kī hālat bayāñ nahīñ hotī
ḳhāmushī jab zabāñ nahīñ hotī
harf-e-hasrat hai tum ne kyā samjhā
zindagī dāstāñ nahīñ hotī
kyā muqābil ho husn-e-jānāñ ke
chāñdnī be-karāñ nahīñ hotī
tum jo aao to ho javāñ mahfil
varna kab kahkashāñ nahīñ hotī
husn kī be-ruḳhī adā Thahrī
āshiqī bad-gumāñ nahīñ hotī
be-qarārī kī bas davā tum ho
ye tabīboñ ke haañ nahīñ hotī
jo ye hindostāñ nahīñ hotā
to ye urdu zabāñ nahīñ hotī
kuchh marāsim 'salām' rahne de
dushmanī jāvedāñ nahīñ hotī
Top Urdushayar.com