sher kahne kī tabī.at na rahī
jis se aamad thī vo sūrat na rahī
us kī dahlīz se uTh jā.ūñ magar
log socheñge mohabbat na rahī
ab milā adl, gayā daur-e-shabāb
munsifī terī bhī vaq.at na rahī
vaqt kī dauḌ meñ ruknā thā kaThin
saañs lene kī bhī fursat na rahī
vaqt-e-dīdār ajab hukm huā
hosh khone kī ijāzat na rahī
tum se jazbāt the jab tum hī nahīñ
phir zamāne se shikāyat na rahī
maiñ nikal aa.uuñ bayābāñ se agar
shohra ho jā.egā vahshat na rahī
bhiiḌ meñ DhūñDeñ kahāñ qais ko ab
vo jo pahchān thī vahshat na rahī
daur-e-rafta ke namūne ho 'salām'
ab takalluf kī zarūrat na rahī