Abdul Salam

aag sinon mein jala kar rakhiye

Abdul Salam

Bengaluru, India

1953
aag sīnoñ meñ jalā kar rakhiye
ḳhvāb āñkhoñ meñ basā kar rakhiye
rāhatoñ se lage sadme bhī haiñ
dil ko mazbūt banā kar rakhiye
iid kā din hai gale mil liije
iḳhtilāfāt haTā kar rakhiye
nafrateñ dil se nikal jā.eñgī
haath dushman se milā kar rakhiye
tāb-e-zanjīr nahīñ hai dil ko
zulf-e-pechāñ ko sajā kar rakhiye
yaad aa jā.egī dīvāne kī
phuul joḌe meñ lagā kar rakhiye
jaane vaalā na kabhī aa.egā
dil meñ yādoñ ko basā kar rakhiye
ishq kī aag hai muñh-zor 'salām'
apne dāman ko bachā kar rakhiye
Top Urdushayar.com