ḳhvāb āñkhoñ se zabāñ se har kahānī le gayā
muḳhtasar ye hai vo merī zindagānī le gayā
phuul se mausam kī barsāteñ havāoñ kī mahak
ab ke mausam kī vo sab shāmeñ suhānī le gayā
de gayā mujh ko sarāboñ kā sukūt-e-mustaqil
mere ashkoñ se vo dariyā kī ravānī le gayā
ḳhaak ab uḌne lagī maidān sahrā ho ga.e
ret kā tūfān dariyāoñ se paanī le gayā
kaun pahchānegā 'zarrīñ' mujh ko itnī bhiiḌ meñ
mere chehre se vo apnī har nishānī le gayā