Iffat Zarrin

jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte

Iffat Zarrin

Delhi, India

1958
jism-o-jāñ kī bastī meñ silsile nahīñ milte
ab kisī bhī markaz se dā.ere nahīñ milte
do-qadam bichhaḌne se qāfile nahīñ milte
manzileñ to miltī haiñ rāste nahīñ milte
bārhā tarāshā hai ham ne aap kā chehra
aap ko na jaane kyuuñ aa.ine nahīñ milte
vaqt kī kamī kah kar jehl ko chhupāte haiñ
āj-kal kitāboñ meñ hāshiye nahīñ milte
aaj bhī zamāne meñ aadmī karishma haiñ
sho.abde to milte haiñ mo.ajize nahīñ milte
zindagī kā har lamha aarzū kā dushman hai
hādsoñ kī ḳhvāhish meñ hādse nahīñ milte
aaj qatl karnā bhī ban gayā hai fan 'zarrīñ'
qatl karne vāloñ ke kuchh pate nahīñ milte
Top Urdushayar.com