Iffat Zarrin

manzilen aain to raste kho gae

Iffat Zarrin

Delhi, India

1958
manzileñ aa.iiñ to raste kho ga.e
ābgīne the ki patthar ho ga.e
be-gunāhī zulmatoñ meñ qaid thī
daaġh phir kis ke samundar dho ga.e
umr bhar kāTeñge fasleñ ḳhuun kī
zaḳhm dil meñ biij aisā bo ga.e
dekh kar insān kī bechārgī
shaam se pahle parinde so ga.e
an-ginat yādeñ mere hamrāh thiiñ
ham hī 'zarrīñ' darmiyāñ meñ kho ga.e
Top Urdushayar.com