ajiib karb-e-musalsal dil-o-nazar meñ rahā
vo raushnī kā musāfir añdhere ghar meñ rahā
vo chāñdnī kā muraqqa.a nahīñ thā jugnū thā
charāġh ban ke jalā aur shajar shajar meñ rahā
kahāvatoñ kī tarah vo bhī shahr-e-ma.anī thā
bujhā bujhā sā diyā jo kisī khañDar meñ rahā
vo jis ko khoj sarāboñ meñ thī samundar kī
vo apne dasht-e-dil-o-jāñ kī rahguzar meñ rahā
vahī to naqsh-e-qadam the jo saare miTte ga.e
vo dāġh-e-sajda thā baaqī jo sañg-e-dar meñ rahā
yahī tilism thā 'zarrīñ' jise na toḌ sakī
vajūd us kā to taqdīr ke bhañvar meñ rahā