haj kā safar hai is meñ koī saath bhī to ho
parda-nashīñ se apnī mulāqāt bhī to ho
kab se Tahal rahe haiñ garebān khol kar
ḳhālī ghaTā ko kyā kareñ barsāt bhī to ho
din hai ki Dhal nahīñ rahā is reg-zār meñ
manzil bhale na aa.e kahīñ raat bhī to ho
majmūa chhāpne to chale ho miyāñ magar
ash.ār meñ tumhāre koī baat bhī to ho