Adil Mansuri

aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
ādhoñ kī taraf se kabhī paunoñ kī taraf se
āvāze kase jaate haiñ baunoñ kī taraf se
hairat se sabhī ḳhāk-zada dekh rahe haiñ
har roz zamīñ ghaTtī hai konoñ kī taraf se
āñkhoñ meñ liye phirte haiñ is dar-badarī meñ
kuchh TuuTe hue ḳhvāb khilaunoñ kī taraf se
phir koī asā de ki vo phunkārte nikle
phir azhdahe fir.aun ke Tonoñ kī taraf se
tū vahm-o-gumāñ se bhī pare detā hai sab ko
ho jaatā hai pal bhar meñ na honoñ kī taraf se
bātoñ kā koī silsila jaarī ho kisī taur
ḳhāmoshī hī ḳhāmoshī hai donoñ kī taraf se
phir ba.ad meñ darvāza dikhā dete haiñ 'ādil'
pahle vo uThāte haiñ bichhaunoñ kī taraf se
Top Urdushayar.com