Adil Mansuri

darwaza band dekh ke mere makan ka

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
darvāza band dekh ke mere makān kā
jhoñkā havā kā khiḌkī ke parde hilā gayā
vo jān-e-nau-bahār jidhar se guzar gayā
peḌoñ ne phuul pattoñ se rasta chhupā liyā
us ke qarīb jaane kā anjām ye huā
maiñ apne-āp se bhī bahut duur jā paḌā
añgḌā.ī le rahī thī gulistāñ meñ jab bahār
har phuul apne rañg kī ātish meñ jal gayā
kāñTe se TūTte haiñ mire añg añg meñ
rag rag meñ chāñd jaltā huā zahr bhar gayā
āñkhoñ ne us ko dekhā nahīñ is ke bāvajūd
dil us kī yaad se kabhī ġhāfil nahīñ rahā
darvāza khaTkhaTā ke sitāre chale ga.e
ḳhvāboñ kī shaal oḌh ke maiñ ūñghtā rahā
shab chāñdnī kī aañch meñ tap kar nikhar ga.ī
sūraj kī jaltī aag meñ din ḳhaak ho gayā
saḌkeñ tamām dhuup se añgāra ho ga.iiñ
andhī havā.eñ chaltī haiñ in par barhana-pā
vo aa.e thoḌī der ruke aur chale ga.e
'ādil' maiñ sar jhukā.e hue chup khaḌā rahā
Top Urdushayar.com