maiñ pahle barf sā thoḌā pighal ke dekhūñgā
agar vo aag hai to us meñ jal ke dekhūñgā
pata mujhe bhī hai manzil nahīñ milegī ab
par ek baar to rasta badal ke dekhūñgā
abhī to hosh hai girnā hai kyā sambhalnā kyā
qadam bahakne lageñ phir sambhal ke dekhūñgā
kahe haiñ log use intizār hai merā
galī se us kī kisī din nikal ke dekhūñgā
sunā hai mere na rahne kā ġham use bhī hai
kisī bahāne se us se maiñ mil ke dekhūñgā