mujhe pasand nahīñ aise kārobār meñ huuñ
ye jabr hai ki maiñ ḳhud apne iḳhtiyār meñ huuñ
hudūd-e-vaqt se bāhar ajab hisār meñ huuñ
maiñ ek lamha huuñ sadiyoñ ke intizār meñ huuñ
abhī na kar mirī tashkīl mujh ko naam na de
tire vajūd se bāhar meñ kis shumār meñ huuñ
maiñ ek zarra mirī haisiyat hī kyā hai magar
havā ke saath huuñ uḌte hue ġhubār meñ huuñ
bas ās-pās ye sūraj hai aur kuchh bhī nahīñ
mahak rahā to huuñ lekin maiñ regzār meñ huuñ