phaile hue haiñ shahr meñ saa.e niDhāl se
jaa.eñ kahāñ nikal ke ḳhayāloñ ke jaal se
mashriq se merā rāsta maġhrib kī samt thā
us kā safar junūb kī jānib shumāl se
kaisā bhī talḳh zikr ho kaisī bhī tursh baat
un kī samajh meñ aa.egī gul kī misāl se
chup-chāp baiThe rahte haiñ kuchh bolte nahīñ
bachche bigaḌ ga.e haiñ bahut dekh-bhāl se
rañgoñ ko bahte dekhiye kamre ke farsh par
kirnoñ ke vaar rokiye shīshe kī Dhaal se
āñkhoñ meñ āñsuoñ kā kahīñ naam tak nahīñ
ab juute saaf kījiye un ke rumāl se
chehra bujhā bujhā sā pareshān zulf zulf
allāh dushmanoñ ko bachā.e vabāl se
phir pāniyoñ meñ nuqra.ī saa.e utar ga.e
phir raat jagmagā uThī chāñdī ke thaal se