huā ḳhatm dariyā to sahrā lagā
safar kā tasalsul kahāñ jā lagā
ajab raat bastī kā naqsha lagā
har ik naqsh andar se TuuTā lagā
tumhārā hazāroñ se rishta lagā
kaho sā.īñ kā kaam kaisā lagā
abhī khiñch hī jaatī lahū kī dhanak
miyāñ tiir Tuk terā tirchhā lagā
lahū meñ utartī rahī chāndnī
badan raat kā kitnā ThanDā lagā
ta.ajjub ke surāḳh se dekhte
andhere meñ kaise nishāna lagā