chehre pe chamchamātī huī dhuup mar ga.ī
sūraj ko Dhaltā dekh ke phir shaam Dar ga.ī
mab.hūt se khaḌe rahe sab bas kī line meñ
kūlhe uchhāltī huī bijlī guzar ga.ī
sūraj vahī thā dhuup vahī shahr bhī vahī
kyā chiiz thī jo jism ke andar ThiThar ga.ī
ḳhvāhish sukhāne rakkhī thī koThe pe dopahar
ab shaam ho chalī miyāñ dekho kidhar ga.ī
tahlīl ho ga.ī hai havā meñ udāsiyāñ
ḳhālī jagah jo rah ga.ī tanhā.ī bhar ga.ī
chehre baġhair niklā thā us ke makān se
rusvā.iyoñ kī had se bhī aage ḳhabar ga.ī
rañgoñ kī surḳh naaf dākhiliyā gul-āftāb
andhī havā.eñ ḳhaar khaTak kaan bhar ga.ī