pahlū ke ār-pār guzartā huā sā ho
ik shaḳhs aa.ine meñ utartā huā sā ho
jiitā huā sā ho kabhī martā huā sā ho
ik shahr apne aap se Dartā huā sā ho
saare kabīra aap hī kartā huā sā ho
ilzām dūsre hī pe dhartā huā sā ho
har ik nayā ḳhayāl jo Tapke hai zehn se
yuuñ lag rahā hai jaise ki bartā huā sā ho
qailūla kar rahe hoñ kisī niim ke tale
maidāñ meñ raḳhsh-e-umr bhī chartā huā sā ho
ma.ashūq aisā DhūñDiye qahtur-rijāl meñ
har baat meñ agartā magartā huā sā ho
phir ba.ad meñ vo qatl bhī kar de to harj kyā
lekin vo pahle pyaar bhī kartā huā sā ho
gar daad tū na de na sahī gāliyāñ sahī
apnā bhī koī aib hunartā huā sā ho