Adil Mansuri

ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
ghuum rahā thā ek shaḳhs raat ke ḳhārzār meñ
us kā lahū bhī mar gayā sub.h ke intizār meñ
ruuh kī ḳhushk pattiyāñ shāḳh se TūTtī rahīñ
aur ghaTā baras ga.ī jism ke regzār meñ
rañg meñ rañg ghul ga.e aks ke shīshe dhul ga.e
qaus-e-quzah pighal ga.ī bhīgī huī lagār meñ
ThanDī saḌak thī be-ḳhabar garm dinoñ ke qahr se
dhuup ko jhelte rahe peḌ khaḌe qatār meñ
bahtī havā kī mauj meñ tair rahe the sabz ghar
shahr ajiib sā lagā raat chaḌhe ḳhumār meñ
niind bhī jāgtī rahī puure hue na ḳhvāb bhī
sub.h huī zamīn par raat Dhalī mazār meñ
detā javāb kyā koī mere sivā na thā koī
Duub ke rah ga.ī sadā tañg siyāh ġhaar meñ
Top Urdushayar.com