Adil Mansuri

aashiq the shahr mein jo purane sharab ke

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
āshiq the shahr meñ jo purāne sharāb ke
haiñ un ke dil meñ vasvase ab ehtisāb ke
vo jo tumhāre haath se aa kar nikal gayā
ham bhī qatīl haiñ usī ḳhāna-ḳharāb ke
phūloñ kī sej par zarā ārām kyā kiyā
us gul-badan pe naqsh uTh aa.e gulāb ke
so.e to dil meñ ek jahāñ jāgne lagā
jaage to apnī aañkh meñ jaale the ḳhvāb ke
bas tishnagī kī aañkh se dekhā karo unheñ
dariyā ravāñ-davāñ haiñ chamakte sarāb ke
okāḌa itnī duur na hotā to ek din
bhar laate saañs saañs meñ gul āftāb ke
kis tarah jam.a kījiye ab apne aap ko
kāġhaz bikhar rahe haiñ purānī kitāb ke
Top Urdushayar.com