Adil Mansuri

hone ko yun to shahr mein apna makan tha

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
hone ko yuuñ to shahr meñ apnā makān thā
nafrat kā regzār magar darmiyān thā
lamhe ke TūTne kī sadā sun rahā thā maiñ
jhapkī jo aañkh sar pe nayā āsmān thā
kahne ko haath bāñdhe khaḌe the namāz meñ
pūchho to dūsrī hī taraf apnā dhyān thā
allāh jaane kis pe akaḌtā thā raat din
kuchh bhī nahīñ thā phir bhī baḌā bad-zabān thā
shole ugalte tiir baraste the charḳh se
saaya thā paas meñ na koī sā.ebān thā
sab se kiyā hai vasl kā vaada alag alag
kal raat vo sabhī pe bahut mehrbān thā
muñh-phaT thā be-lagām thā rusvā thā DhiiT thā
jaisā bhī thā vo dosto mahfil kī jaan thā
Top Urdushayar.com