chāroñ taraf se maut ne gherā hai ziist ko
aur us ke saath hukm ki ab zindagī karo
bāhar galī meñ shor hai barsāt kā suno
kunDī lagā ke aaj to ghar meñ paḌe raho
chhoḌ aa.e kis kī chhat pe javāñ-sāl chāñd ko
ḳhāmosh kis liye ho sitāro javāb do
kyuuñ chalte chalte ruk ga.e vīrān rāsto
tanhā huuñ aaj maiñ zarā ghar tak to saath do
jis ne bhī muḌ ke dekhā vo patthar kā ho gayā
nazreñ jhukā.e dosto chup chup chale chalo
allāh rakkhe terī sahar jaisī kam-sinī
dil kāñptā hai jab bhī tū aatī hai shaam ko
vīrāñ chaman pe roī hai shabnam tamām raat
aise meñ koī nannhī kalī muskurā.e to
'ādil' havā.eñ kab se bhī detī haiñ dastakeñ
jaldī se uTh ke kamre kā darvāza khol do