Sabiha Sadaf

yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum

Sabiha Sadaf

Raisen, Madhya Pradesh, India

1972
yuuñ zindagī ko zer-o-zabar kar rahe haiñ ham
har din hī gardishoñ meñ basar kar rahe haiñ ham
manzil kī hai talāsh magar ye ḳhabar nahīñ
kāġhaz kī kashtiyoñ meñ safar kar rahe haiñ ham
ai shab sambhal ki tere añdheroñ kī ḳhair ho
ḳhud meñ talāsh najm-o-qamar kar rahe haiñ ham
kuchh hasratoñ ke qāfile kuchh ḳhvāhishoñ ke ghar
bas ḳhvāb ḳhvāb hī meñ basar kar rahe haiñ ham
ḳhurshed ham ko terī tamāzat kā Dar nahīñ
ik tuḳhm-e-nā-tavāñ ko shajar kar rahe haiñ ham
tū rabb-e-kā.ināt hai parvardigār hai
sajde tujhe hī shām-o-sahar kar rahe haiñ ham
ham ne talāsh-e-ishq meñ haarī hai zindagī
ahl-e-junūñ ko aaj ḳhabar kar rahe haiñ ham
hai maqsad-e-hayāt ki manzil mile 'sadaf'
us kī talāsh shām-o-sahar kar rahe haiñ ham
Top Urdushayar.com