Adil Mansuri

iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
iblāġh ke badan meñ tajassus kā silsila
TuuTā hai chashm-e-ḳhvāb meñ hairat kā aa.ina
jo āsmān ban ke musallat saroñ pe thā
kis ne use zamīn ke andar dhañsā diyā
bikhrī haiñ piilī ret pe sūraj kī haDDiyāñ
zarroñ ke intizār meñ lamhoñ kā jhūmnā
ehrām TūTte haiñ kahāñ sañg-e-vaqt ke
sahrā kī tishnagī meñ abul-haul hañs paḌā
uñglī se us ke jism pe likkhā usī kā naam
phir battī band kar ke use DhūñDtā rahā
shiryāneñ khiñch ke TuuT na jaa.eñ tanāv se
miTTī pe khul na jaa.e ye darvāza ḳhuun kā
maujeñ thiiñ sho.alagī ke samundar meñ tund-o-tez
maiñ raat bhar ubhartā rahā Dūbtā rahā
alfāz kī ragoñ se ma.ānī nichoḌ le
fāsid mavād kāġhzī ghoḌe pe Daal aa
Top Urdushayar.com