ek qatra ashk kā chhalkā to dariyā kar diyā
ek musht-e-ḳhāk jo bikhrī to sahrā kar diyā
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne dīvāroñ ko apnī aur ūñchā kar diyā
vārdāt-e-qalb likkhī ham ne farzī naam se
aur hāthoñ-hāth us ko ḳhud hī le jā kar diyā
us kī nārāzī kā sūraj jab savā neze pe thā
apne harf-e-ijz hī ne sar pe saaya kar diyā
duniyā bhar kī ḳhaak koī chhāntā phirtā hai ab
aap ne dar se uThā kar kaisā rusvā kar diyā
ab na koī ḳhauf dil meñ aur na āñkhoñ meñ umiid
tū ne marg-e-nā-gahāñ bīmār achchhā kar diyā
bhuul jā ye kal tire naqsh-e-qadam the chāñd par
dekh un hāthoñ ko kis ne aaj kaasa kar diyā
ham to kahne jā rahe the hamza-e-ye vassalām
biich meñ us ne achānak nūn-ġhunna kar diyā
ham ko gaalī ke liye bhī lab hilā sakte nahīñ
ġhair ko bosa diyā to muñh se dikhlā kar diyā
tīrgī kī bhī koī had hotī hai āḳhir miyāñ
surḳh parcham ko jalā kar hī ujālā kar diyā
bazm meñ ahl-e-suḳhan taqtī.a farmāte rahe
aur ham ne apne dil kā bojh halkā kar diyā
jaane kis ke muntazir baiThe haiñ jhāḌū pher kar
dil se har ḳhvāhish ko 'ādil' ham ne chaltā kar diyā