vus.at-e-dāman-e-sahrā dekhūñ
apnī āvāz ko phailā dekhūñ
haath meñ chāñd ko pighlā dekhūñ
ḳhvāb dekhūñ ki ḳharāba dekhūñ
sat.h par aks ko bahtā dekhūñ
dariyā dariyā tirā saaya dekhūñ
ḳhud ko dekhūñ tirā chehra dekhūñ
ā.īna toḌ duuñ phir kyā dekhūñ
apne saa.e ko barahna pā.ūñ
saath rusvā.ī ko hañstā dekhūñ
retīlī dhuup meñ aate jaate
mahmil-e-vaqt ko Thahrā dekhūñ
sub.h ke phuul ko hañstā pā kar
raat kī aañkh meñ kāñTā dekhūñ
shahr meñ log jise DhūñDte haiñ
apne ghar meñ use baiThā dekhūñ
aisā din aa.e na hargiz 'ādil'
jaise jī meñ use martā dekhūñ