Adil Mansuri

jalne lage KHala mein hawaon ke naqsh-e-pa

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
jalne lage ḳhalā meñ havāoñ ke naqsh-e-pā
sūraj kā haath shaam kī gardan pe jā paḌā
chhat par pighal ke jam ga.ī ḳhvāboñ kī chāñdnī
kamre kā dard hāñpte sāyoñ ko khā gayā
bistar meñ ek chāñd tarāshā thā lams ne
us ne uThā ke chaa.e ke cup meñ Dubo diyā
har aañkh meñ thī TūTte lamhoñ kī tishnagī
har jism pe thā vaqt kā saaya paḌā huā
dekhā thā sab ne Dūbne vaale ko duur duur
paanī kī uñgliyoñ ne kināre ko chhū liyā
aa.egī raat muñh pe siyāhī male hue
rakh degā din bhī haath meñ kāġhaz phaTā huā
Top Urdushayar.com