duur ufuq ke paar se āvāz ke parvardigār
sadiyoñ soī ḳhāmushī ko sāmne aa kar pukār
jaane kin hāthoñ ne khelā raat sāhil par shikār
sher kī āvāz ko tarsā kiye suune kachhār
ḳhvāb ke sūkhe hue ḳhākoñ meñ lazzat kā ġhubār
niiñd ke dīmak-zada gatte ke pīchhe intizār
tīrgī kaise miTegī terī nusrat ke baġhair
āsmāñ kī sīḌhiyoñ se nuqra.ī faujeñ utaar
āḳhir-e-shab sab sitāre so rahe haiñ be-ḳhabar
koī sūraj ko ḳhabar kar do ki ab shab-ḳhūn maar
phailtā jaatā hai kirnoñ kā sunahrī jaal phir
jagmagā uTThī haiñ shamshīreñ qatār-andar-qatār
jaane kis ko DhūñDne dāḳhil huā hai jism meñ
haDDiyoñ meñ rāsta kartā huā piilā buḳhār
jism kī miTTī na le jaa.e bahā kar saath meñ
dil kī gahrā.ī meñ girtā ḳhvāhishoñ kā ābshār