Adil Mansuri

sans ki aanch zara tez karo

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
saañs kī aañch zarā tez karo
kāñch kā jism pighal jaane do
laam ḳhālī hai use mat chheḌo
nuun ke peT meñ nuqta dekho
raat ke parde ulaTte jaao
chāñd kā jism barahna bhī ho
sar uThāo na kanār-e-dariyā
mauj ko sar se guzar jaane do
ḳhud-ba-ḳhud shāḳh lachak jā.egī
phal se bharpūr to ho lene do
aañkh khulte hī ye āvāz aa.ī
chor ghus aayā hai ghar meñ pakḌo
uñgliyāñ chāTte rah jāoge
tum kabhī apnā lahū chakh dekho
maut saḌkoñ pe phirā kartī hai
ghar se niklo to sambhal kar niklo
kaun ab sher kahe nazm likhe
shahr hī chhoḌ ga.ī jab zebo
tum ko da.avā hai suḳhan-fahmī kā
jaao 'ġhālib' ke taraf-dār bano
kal vo 'ādil' se ye farmāte the
shā.erī chhoḌ ke shādī kar lo
Top Urdushayar.com