Adil Mansuri

ganThi hai usne dosti ek pesh-imam se

Adil Mansuri

Ahmedabad, Gujarat, India

1936-2008
gāñThī hai us ne dostī ik pesh-imām se
'ādil' uThā lo haath duā-o-salām se
paanī ne rāsta na diyā jān-būjh kar
ġhote lagā.e phir bhī rahe tishna-kām se
maiñ us galī se sar ko jhukā.e guzar gayā
chilġhoze pheñktī rahī vo mujh pe baam se
vo kaun thā jo din ke ujāle meñ kho gayā
ye chāñd kis ko DhūñDne niklā hai shaam se
kone meñ bādshāh paḌā ūñghtā rahā
Table pe raat kaT ga.ī begam ġhulām se
nashsha sā Doltā hai tire añg añg par
jaise abhī bhigo ke nikālā ho jaam se
Top Urdushayar.com