mere ash.ār ko me.aar pe tolā jaa.e
fan ko rakh kar kisī fankār pe tolā jaa.e
baat hai tāb-e-nazar kī to haTā kar parda
shauq-e-dīdār ko dīdār pe tolā jaa.e
raas aatī hai unheñ dhuup jo sahrā.ī haiñ
kyoñ unheñ sāya-e-dīvār pe tolā jaa.e
nafrateñ ham ko sahī taul nahīñ saktī haiñ
taulnā hai to hameñ pyaar se tolā jaa.e
dekhiye husn kā me.aar na girne paa.e
is ko mīzān-e-ḳharīdār pe tolā jaa.e