ho nazar aisī ki bas dil kī nigāh tak pahuñche
dil meñ utre to kabhī hāl-e-tabāh tak pahuñche
manzileñ un ko milā kartī haiñ āsānī se
tīrgī chhoḌ ke jo mish.al-e-rāh tak pahuñche
ab talak jaisī bhī guzrī hameñ manzūr magar
ab to ban jaa.e kuchh aisī ki nibāh tak pahuñche
jītnā ishq kī baazī koī āsān nahīñ
ain mumkin hai koī husn gavāh tak pahuñche
tishnagī ko mirī e.ajāz atā kar aisā
zer-e-lab pyaas baḌhe aisī ki aah tak pahuñche
ishq-maslak meñ 'sadaf' ek hī dastūr hai bas
zaḳhm-e-dil had se baḌhe aur karāh tak pahuñche