Sabiha Sadaf

sisakti zindagi ko zindagani kaun deta hai

Sabiha Sadaf

Raisen, Madhya Pradesh, India

1972
sisaktī zindagī ko zindagānī kaun detā hai
ḳhizāñ ke baad phir se rut-suhānī kaun detā hai
mirī āñkhoñ meñ sahrāoñ kā manzar dekhne vaalo
tah-e-sahrā ye dariyā ko ravānī kaun detā hai
nahīñ mujh se koī shikva-gila to sach batāo phir
mirī bātoñ ko rañg-e-bad-gumānī kaun detā hai
shah-e-kan.āñ kī chāhat meñ divānī misr kī malika
usī malika ko phir daur-e-javānī kaun detā hai
vahāñ par āb-o-gil se ruuh kī tashkīl hotī hai
yahāñ lā kar shu.ūr-e-zindagānī kaun detā hai
mahak uThtā har ik gosha-e-sher-o-suḳhan terā
'sadaf' hoñToñ ko tere gul-fishānī kaun detā hai
Top Urdushayar.com