kise ham apnā kaheñ koī ġham-gusār nahīñ
hameñ jab apne parā.e pe e'tibār nahīñ
ham apne daur kī sachchā.iyoñ ko likhte haiñ
qalam hamārā kisī kā to musta.ār nahīñ
jo be-vafā the vahī log pā ga.e e.azāz
mirī vafāoñ kā ab tak kahīñ shumār nahīñ
hamāre sar pe baras jā.eñge kahāñ patthar
tunak-mizājī-e-mausam kā e'tibār nahīñ
duā.eñ de ke jo bachchoñ ko shahr bhejeñge
ab aise gaañv meñ koī buzurgvār nahīñ
hazār muflis-o-nādār maiñ sahī 'rahbar'
ḳhudā kā shukr kisī kā bhī qarz-dār nahīñ