jo baat haqīqat ho be-ḳhauf-o-ḳhatar kahiye
maiñ is kā nahīñ qaa.il shabnam ko guhar kahiye
lafzoñ kī harārat se ajsām pighal jaa.eñ
sanjīda zarā ho kar ash.ār agar kahiye
apnoñ ne pilā.e haiñ zahrāb ke ghūñT akasr
hoñToñ pe jo ḳhushkī hai talḳhī kā asar kahiye
bāzār-e-tasanno.a ke jalvoñ kī numā.ish ko
TuuTe hue shīshoñ kā adnā sā khañDar kahiye
jazbāt kā ḳhuuñ kar duuñ ehsās kuchal Dālūñ
zaḳhmoñ se lahū Tapke sau baar agar kahiye
taḳhlīq-e-ajussā yā 'hāfiz' kī ġhazal 'rahbar'
jis se ho baqā fan kī me.arāj-e-hunar kahiye