likhī thī jo kahānī vo kahānī yaad aatī hai
tumhāre pyaar kī mujh ko nishānī yaad aatī hai
bahāroñ kā samāñ sā hai bhare gulshan meñ dekho to
gulāboñ kī vo rut aksar suhānī yaad aatī hai
kahī hai jo ġhazal maiñ ne usī ke naam kar dī hai
hameñ ab us ke lahje kī ravānī yaad aatī hai
kahāñ se lā.ūñ ḳhūn-e-dil tumheñ ab yaad karne ko
maiñ jab sochūñ to is dil meñ purānī yaad aatī hai
'nasīm' 'aḳhtar' kahāñ haiñ ab vo jazboñ se bharī rāteñ
hameñ ab apne ashkoñ kī ravānī yaad aatī he