ye rañg-o-nūr bhalā kab kisī ke haath aa.e
kidhar chale haiñ añdhere ye haath phailā.e
ḳhudā kare koī sham.eñ liye chalā aa.e
dhaḌak rahe haiñ mire dil meñ shaam ke saa.e
kahāñ vo aur kahāñ merī pur-ḳhatar rāheñ
magar vo phir bhī mire saath duur tak aa.e
maiñ apne ahd meñ sham-e-mazār ho ke rahā
kabhī na dekh sake mujh ko mere ham-sā.e
chale-chalo ki batā degī raah ḳhud raste
kahāñ hai vaqt ki koī kisī ko samjhā.e
haram kī aabrū ham ne bahut rakhī phir bhī
ka.ī charāġh sanam-ḳhāne meñ jalā aa.e
maiñ apne dil ko to taskīn de bhī luuñ 'maikash'
vo muztarib hai bahut kaun us ko samjhā.e