Maikash Akbarabadi

mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida

Maikash Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1902-1991
mire ġham ke liye is bazm meñ fursat kahāñ paidā
yahāñ to ho rahī hai dāstāñ se dāstāñ paidā
vahī hai ek mastī sī vahāñ nazroñ meñ yaañ dil meñ
vahī hai ek shorish hī vahāñ pinhāñ yahāñ paidā
tū apnā kārvāñ le chal na kar ġham mere zarroñ kā
inhīñ zarroñ se ho jā.egā phir se kārvāñ paidā
mirī umreñ simaT aa.ī haiñ un ke ek lamhe meñ
baḌī muddat meñ hotī hai ye umr-e-jāvedāñ paidā
zarā tum ne nazar pherī ki jaise kuchh na thā dil meñ
zarā tum muskurā.e ho gayā phir ik jahāñ paidā
hamārī saḳht-jānī se huā shal haath qātil kā
sar-e-maqtal hī ham ne kar liyā dār-ul-amāñ paidā
tavaqqo hai ki badlegā zamāna lekin ai 'maikash'
zamāna hai yahī to ho chuke insāñ yahāñ paidā
Top Urdushayar.com