Sajjad Haider

sochon ke ban-bas mein aaKHir kuchh to sujh hi jaega

Sajjad Haider

sochoñ ke ban-bās meñ āḳhir kuchh to suujh hī jā.egā
ye rastoñ kā pech-o-ḳham ḳhud manzil bhī dikhlā.egā
mumkin hai ki tujh ko ab tak ḳhaak nazar na aatā ho
vaqt balā kā shātir hai vo chāleñ chaltā jā.egā
āñkheñ ro ro chamkā lī haiñ ujle manzar takne ko
sūraj par jo gard paḌī hai us ko kaun haTā.egā
saare achchhe mausam us kī ḳhvāhish meñ hī biit ga.e
kyā vo ab in zard rutoñ meñ mujh se milne aa.egā
sūkhe patte oḌh ke apne tan pe āñkheñ band kiye
soch rahā huuñ koī aa kar dīpak raag sunā.egā
terī merī aql ke naate aaj bhī haiñ 'sajjād' judā
jo maiñ baat samajh nahīñ paayā tū kaise batlā.egā
Top Urdushayar.com