Sajjad Haider

shuur de ke mujhe baal-o-par nahin deta

Sajjad Haider

shu.ūr de ke mujhe bāl-o-par nahīñ detā
safar kā kahtā hai zād-e-safar nahīñ detā
ye kaun mujh ko mirī zaat se chhupātā hai
ye kaun mujh ko hī merī ḳhabar nahīñ detā
nishān-e-manzil-e-maqsūd to batātā hai
kisī bhī taur vo izn-e-safar nahīñ detā
zamāna go mujhe mā.il-ba-jañg kartā hai
magar ye teġh-o-sinān-o-sipar nahīñ detā
sitam to jo bhī kare tujh ko hai ravā lekin
mirā zamīr mujhe ye hunar nahīñ detā
mabādā lauT ke aa.uuñ koī na pahchāne
nikalne ghar se ye 'sajjād' Dar nahīñ detā
Top Urdushayar.com